kaT na pae ye fasle bhi agar
aur us par ye rabte bhi agar
jo tumhaari taraf nahin khulte
band nikle wo raste bhi agar
KHair ho teri be-niyazi ki
ab nahin KHud-parast the bhi agar
kya karenge siwae KHwahish ke
mohlat-e-yak-nafs mile bhi agar
umr bhar ke ziyan ka mol nahin
chand lamhe chura liye bhi agar
KHun-baha kaun dega jazbon ka
baad marne ke ji uThe bhi agar
kaun samjhega istiaron ko
kuchh na bolenge hashiye bhi agar
Ghazal
KaT na pae ye fasle bhi agar
Shakeel Jazib