اردو हिंदी
KaT gai umr yahi ek tamanna karte | Shaahi Shayari
kaT gai umr yahi ek tamanna karte

Ghazal

KaT gai umr yahi ek tamanna karte

Talha Rizvi Barq

;

kaT gai umr yahi ek tamanna karte
samne baiTh ke hum aap ko dekha karte

ai junun dekh chale jate hain sahra ki taraf
aql kahti to abhi baiTh ke socha karte

yaad aa aa ke koi zaKHm laga jata hai
warna is kuche se hum roz hi guzra karte

sar pe hai gham ki kaDi dhup kahan hain ahbab
kash do bol se hamdardi ke saya karte

wajh-e-taskin-e-dil-o-rahat-e-jaan kuchh bhi nahin
zindagi tere liye kis ka bahana karte

waqt sae ki tarah bhag raha hai yaro
umr guzri hai isi tarah se pichha karte

'barq'-sahab ne na dekha tujhe ai barq-jamal
shahr mein ja ke tere husn ka charcha karte