kasrat mein bhi wahdat ka tamasha nazar aaya
jis rang mein dekha tujhe yakta nazar aaya
jab us ruKH-e-pur-nur ka jalwa nazar aaya
kaba nazar aaya na kalisa nazar aaya
ye husn ye shoKHi ye karishma ye adaen
duniya nazar aai mujhe to kya nazar aaya
ek sarKHushi-e-ishq hai ek be-KHudi-e-shauq
aankhon ko KHuda jaane meri kya nazar aaya
jab dekh na sakte the to dariya bhi tha qatra
jab aankh khuli qatra bhi dariya nazar aaya
qurban teri shan-e-inayat ke dil o jaan
is kam-nigahi par mujhe kya kya nazar aaya
har rang tere rang mein Duba hua nikla
har naqsh tera naqsh-e-kaf-e-pa nazar aaya
aankhon ne dikha di jo tere gham ki haqiqat
aalam mujhe sara tah-o-baala nazar aaya
har jalwe ko dekha tere jalwon se munawwar
har bazm mein tu anjuman-ara nazar aaya
Ghazal
Kasrat mein bhi wahdat ka tamasha nazar aaya
Jigar Moradabadi