kasrat-e-wahdaniyat mein husn ki tanwir dekh
dida-e-haq-bin se rang-e-alam-e-taswir dekh
is qadar khinchna nahin achchha but-e-be-pir dekh
pyar ki nazron se su-e-ashiq-e-dil-gir dekh
ghair ne mujh par sitam Dhae hain Dhaale aaj tu
rah na jae koi bhi tarkash mein baqi tir dekh
kaam ban ban kar bigaD jate hain lakhon raat din
kis qadar hai mujh se bargashta meri taqdir dekh
phir na ye kahna ki KHat likkha hai kis ne ghair ko
le ye hai maujud tere hath ki tahrir dekh
haarna himmat dalil-e-kaamyabi se hai dur
kaam le tadbir se phir KHubi-e-taqdir dekh
gumbad-e-gardun sambhal ai gumbad-e-gardun sambhal
kar na de sad pash tir-e-ah par tasir dekh
chaar din ki zindagi par musht-e-KHak itna ghurur
pis dega ek din ye aasman-e-pir dekh
be-bulae to nahin aaya teri mahfil mein 'naz'
dekh han han dekh apne hath ki tahrir dekh
Ghazal
Kasrat-e-wahdaniyat mein husn ki tanwir dekh
Sher Singh Naaz Dehlvi