kashtiyan manjdhaar mein hain naKHuda koi nahin
apni himmat ke alawa aasra koi nahin
manzilon ki justuju mein aa gae us moD par
ab jahan se lauTne ka rasta koi nahin
hum ne puchha KHud ke jaisa kya kabhi dekha kahin
muskura kar us ne hum se kah diya koi nahin
zindagi ke is safar mein tajraba hum ko hua
sath sab hain par kabhi pahchanta koi nahin
rafta rafta umr sari kaT gai apni yahan
hum ko lekin shahr bhar mein jaanta koi nahin
Ghazal
Kashtiyan manjdhaar mein hain naKHuda koi nahin
Devmani pandey