kashti rawan-dawan thi samundar khula hua
aankhon mein bas gaya hai wo manzar khula hua
bistar tha ek jism the do KHwahishen hazar
donon ke darmiyan tha KHanjar khula hua
uljha hi ja raha hun main galiyon ke jal mein
kab se hai intizar mein ek ghar khula hua
ek harf-e-muddaa tha so wo bhi dabi zaban
ilzam de raha hai sitamgar khula hua
sahra-naward shahr ki saDkon par aa gae
chehre pe gard aabla-pa sar khula hua
Ghazal
Kashti rawan-dawan thi samundar khula hua
Shahid Mahuli

