اردو हिंदी
Kashti hai tabah dil-shudaon ki | Shaahi Shayari
kashti hai tabah dil-shudaon ki

Ghazal

Kashti hai tabah dil-shudaon ki

Joshish Azimabadi

;

kashti hai tabah dil-shudaon ki
lena KHabar apne be-KHudon ki

ai sarw-sahi ke ek gulshan
chaliyo mat chaal KHush-qadon ki

kyun-kar wo kare suluk hum se
KHatir hai aziz hasidon ki

tamir kunisht-e-dil hua jab
zahid na bina thi masjidon ki

kahna mat man waizon ka
behuda hai baat behudon ki

daDhi na rahegi shaiKH-sahib
sohbat mein na baiTho amradon ki