اردو हिंदी
Kashmakash mein hain teri zulfon ke zindani hanuz | Shaahi Shayari
kashmakash mein hain teri zulfon ke zindani hanuz

Ghazal

Kashmakash mein hain teri zulfon ke zindani hanuz

Ashk Amritsari

;

kashmakash mein hain teri zulfon ke zindani hanuz
tirgi paiham hai KHam-dar-KHam pareshani hanuz

rakhte hain hum maqsad-e-tamir-e-nau pesh-e-nazar
garche hain min-jumla-e-asbab-e-virani hanuz

sath-e-dariya par sukun sa hai magar ai sath-biin
qar-o-dariya mein wahi maujen hain tufani hanuz

ab junun mein bhi nahin aata hai sahra ka KHayal
shahr-e-hikmat mein hai wahshat-KHez virani hanuz

pursish-e-ahl-e-qalam ho ya na ho hoti to hai
sang-e-marmar ke mazaron par gul-afshani hanuz

hum ne rakh di qalib-e-ashaar mein chiz-e-digar
tum nahin kar pae takmil-e-zaban-dani hanuz

'ashk' usul-e-kasb-e-zar se tu nahin hai aashna
tishna-e-takmil hai teri hama-dani hanuz