kashish to ab bhi ghazab ki hai nazninon mein
magar wo chand chamakta nahin jabinon mein
ye sab ke chehron mein yaksaniyat si kaisi hai
hasin-tar koi jachta nahin hasinon mein
jo mere zehn mein thi sabza-zar KHwab mein thi
kahan wo fasl ugai gai zaminon mein
shuur-e-umr se afzun hui hai umr-e-shuur
hamare sal guzarne lage mahinon mein
zaban se roz main taid-e-izn karta hun
chhupe hain but bhi magar meri aastinon mein
numaishen na furui takallufat yahan
kahan tum aa gae hum boriya-nashinon mein
ba-juz tumhaare nahin koi KHanqahi ab
main kis ka nam likhun apne nukta-chinon mein
Ghazal
Kashish to ab bhi ghazab ki hai nazninon mein
Nashtar Khaanqahi