kashish se dil ki us abru-kaman ko hum rakha bahla
jo kar qabze mein dil sab ka phire tha sab se wo gahla
jo guzra arsh se ye na falak kursi hai us aage
kare hai la-makan ki sair aashiq chhoD nau-mahla
thaka aaKHir ko majnun gham se rah-e-ishq mein mere
ghubar-e-KHatir o aansu ki barish dekh kar chahla
gulabi lal ki hui har kali mai-nosh sun tujh ko
chaman mein hai khaDi le jam-e-nilam nargis-e-shahla
rakhi hai hum ne bazi zor se shamshir ke dushman
kiya chahe tha sar wasoKHt ho mujh naqsh se dahla
tumhaare husn ke gulshan mein pyare kuchh na chhoDunga
raqibon ke sar upar chaDh ke toDunga ye phal pahla
ye tha 'naji' ko lazim tan karna har suKHan-go par
jawab is ghazal ka 'hatim' nahin kuchh kaam to kah la
Ghazal
Kashish se dil ki us abru-kaman ko hum rakha bahla
Shaikh Zahuruddin Hatim