اردو हिंदी
Kashan kashan liye jata hai ku-e-yar mujhe | Shaahi Shayari
kashan kashan liye jata hai ku-e-yar mujhe

Ghazal

Kashan kashan liye jata hai ku-e-yar mujhe

Hans Raj Sachdev u0027hazii.nu0027

;

kashan kashan liye jata hai ku-e-yar mujhe
main kya karun nahin dil par jo iKHtiyar mujhe

kisi ki madh-bhari aankhon se kya mili aankhen
samajh rahe hain mere dost baada-KHwar mujhe

mujhe KHabar hai ki ab tujh ko pa nahin sakta
to yaad kyun teri aati hai bar bar mujhe

tere KHayal mein KHud ko bhula diya itna
na mil sakegi kabhi teri rahguzar mujhe

ajal se puchh lo aane mein der kyun kar di
ki nagawar hai is waqt intizar mujhe

na aae the to tamanna thi kyun nahin aae
wo aae chhoD gae kar ke be-qarar mujhe

'hazin' tamanna hai ab mujh ko ji se jaane ki
ki jite-ji to kisi ka mila na pyar mujhe