kas kar bandhi gai ragon mein dil ki girah to Dhili hai
us ko dekh ke ji bhar aana kitni baDi tabdili hai
zinda rahne ki KHwahish mein dam dam lau de uThta hun
mujh mein sans ragaD khati hai ya machis ki tili hai
un aankhon mein kudne walo tum ko itna dhyan rahe
wo jhilen payab hain lekin un ki tah pathrili hai
kitni sadiyan suraj chamka kitne dozaKH aag jali
mujhe banane wale meri miTTi ab tak gili hai
zinda hun to mujhe bataen nile honTon wale log
mera kaisa rang karegi baat jo main ne pi li hai
mumkin hai ab waqt ki chadar par main karun rafu ka kaam
jute main ne ganTh liye hain gudDi main ne si li hai
Ghazal
Kas kar bandhi gai ragon mein dil ki girah to Dhili hai
Abbas Tabish