karun shikwa na kyun charKH-e-kuhan se
ki furqat Dali tujh se gul-badan se
teri furqat ka ye sadma paDa yar
zaban na-ashna ho gai suKHan se
dam-e-takfin bhi gar yar aawe
to niklen hath bahar ye kafan se
khila hai taKHta-e-lala-jigar mein
hamein kya kaam ab sair-e-chaman se
na pahuncha gosh tak ek tere haihat
hazaron nala nikla is dahan se
dimagh-e-jaan mein hai ye bu-e-kakul
ki nafrat ho gai mushk-e-KHutan se
jigar par lakh teshe gham ke nit hain
rahi nisbat hamein kya kohkan se
'surur' aata hai jab wo yaad-dilbar
to jaan bas meri ho jati hai san se
Ghazal
Karun shikwa na kyun charKH-e-kuhan se
Rajab Ali Beg Suroor