اردو हिंदी
Karun na yaad magar kis tarah bhulaun use | Shaahi Shayari
karun na yaad magar kis tarah bhulaun use

Ghazal

Karun na yaad magar kis tarah bhulaun use

Ahmad Faraz

;

karun na yaad magar kis tarah bhulaun use
ghazal bahana karun aur gungunaun use

wo KHar KHar hai shaKH-e-gulab ki manind
main zaKHm zaKHm hun phir bhi gale lagaun use

ye log tazkire karte hain apne logon ke
main kaise baat karun ab kahan se laun use

magar wo zud-faramosh zud-ranj bhi hai
ki ruTh jae agar yaad kuchh dilaun use

wahi jo daulat-e-dil hai wahi jo rahat-e-jaan
tumhaari baat pe ai naseho ganwaun use

jo ham-safar sar-e-manzil bichhaD raha hai 'faraaz'
ajab nahin hai agar yaad bhi na aaun use