اردو हिंदी
Karun hun raat din phere kai phere miyan sahib | Shaahi Shayari
karun hun raat din phere kai phere miyan sahib

Ghazal

Karun hun raat din phere kai phere miyan sahib

Shaikh Zahuruddin Hatim

;

karun hun raat din phere kai phere miyan sahib
kabhi to bhi na paya tum ko hum Dere miyan sahib

uThawen kyun na naktoDe ki hum chaakar hain ulfat ke
wagarna tum se aalam mein hain bahtere miyan sahib

jahan ke KHubsurat hum bahut taDen hain nazron mein
tu sab ka sab tarah sahib hai ai mere miyan sahib

yahi hoti hai aashiq-parwari ki shart hai zalim
ki hum marte hain tum jate ho munh phere miyan sahib

bura karte ho jo ghar se nikal jate ho 'hatim' ke
nashe mein mast ujiyale o andhere miyan sahib