اردو हिंदी
Karte rahe taaqub-e-ayyam umr-bhar | Shaahi Shayari
karte rahe taaqub-e-ayyam umr-bhar

Ghazal

Karte rahe taaqub-e-ayyam umr-bhar

Aziz Tamannai

;

karte rahe taaqub-e-ayyam umr-bhar
uDta raha ghubar bahar-gam umr-bhar

hasrat se dekhte rahe har KHush-KHiram ko
hum surt-e-tuyyur tah-e-dam umr-bhar

har-chand talKH-kaam tha har jura-e-hayat
munh se lagae baiThe rahe jam umr-bhar

har shaKH-e-nau-bahaar thi aaluda-e-ghubar
DhunDa kiye nasheman-e-aram umr-bhar

kuchh kaam aa sakin na yahan be-gunahiyan
hum par laga hua tha wo ilzam umr-bhar

deta raha sadaen hamein dur dur tak
koi chhupa hua pas-e-asnam umr-bhar

ba-wasf-e-ehtiyat 'tamannai' hum rahe
pa-basta-e-salasil-e-auham umr-bhar