karte nahin jafa bhi wo tark-e-wafa ke sath
ye kaun sa sitam hai dil-e-mubtala ke sath
ab wo jabin-e-shauq kahin aur kyun jhuke
wabasta ho gai jo tere naqsh-e-pa ke sath
warafta-e-jamal ka aalam na puchhiye
diwana-war uThti hain nazren sada ke sath
surKHi tumhaare hath ki kahti hai saf saf
shamil hai mere dil ka lahu bhi hina ke sath
takmil-e-arzu ki KHushi aur gham-e-hayat
donon hi ibtida se rahe intiha ke sath
shamil meri hayat mein yun hai gham-e-hayat
jaise KHabar ho apne kisi mubtada ke sath
'wasfi' meri hayat ne manzil ko pa liya
kuchh din guzar aaya jo ek parsa ke sath
Ghazal
Karte nahin jafa bhi wo tark-e-wafa ke sath
Abdul Rahman Khan Wasifi Bahraichi