اردو हिंदी
Karte hain wahi log jahan taza-tar aabaad | Shaahi Shayari
karte hain wahi log jahan taza-tar aabaad

Ghazal

Karte hain wahi log jahan taza-tar aabaad

Kausar Jayasi

;

karte hain wahi log jahan taza-tar aabaad
har daur mein rakhte hain jo sina sharer-abaad

pur-shor gulistan hain na ab dasht-o-dar aabaad
kya jaane kahan ho gae ahl-e-nazar aabaad

Thahraw kisi shai ke muqaddar mein nahin hai
duniya hai wo jada jise kahiye safar-abaad

KHwabon ke sanam-KHane salamat hain to yunhi
fitnon se rahega KHam-e-zulf-o-kamar aabaad

hamsaegi-o-rabt ki KHushbu bhi kahin hai
karti hain bahaaren to nagar par nagar aabaad

naghmon se jahan raushni-e-dard thi kal tak
sannaTe se hai aaj wo shaKH-e-shajar aabaad

'kausar' hai suKHan-tab mera shahr-e-taKHayyul
is shahr mein hain aaj bhi aaina-gar aabaad