karte bhi kya huzur na jab apne ghar mile
dushman se hum kabhi na mile the magar mile
bulbul pe aisi barq giri aandhiyon ke sath
ghar ka pata chala na kahin baal-o-par mile
un se hamein nigah-e-karam ki umid kya
aankhen nikal len jo nazar se nazar mile
wada ghalat pate bhi batae hue ghalat
tum apne ghar mile na raqibon ke ghar mile
afsos hai yahi mujhe fasl-e-bahaar mein
mera chaman ho aur mujhi ko na ghar mile
chaaron taraf hai sham-e-mohabbat ki raushni
parwane DhunD DhunD ke lai jidhar mile
Ghazal
Karte bhi kya huzur na jab apne ghar mile
Qamar Jalalvi