اردو हिंदी
Karta main ab kisi se koi iltimas kya | Shaahi Shayari
karta main ab kisi se koi iltimas kya

Ghazal

Karta main ab kisi se koi iltimas kya

Athar Nadir

;

karta main ab kisi se koi iltimas kya
marne ka gham nahin hai to jine ki aas kya

jab tujh ko mujh se dur hi rahna pasand hai
sae ki tarah rahta hai phir aas-pas kya

tujh se bichhaD ke hum to yahi sochte rahe
ye gardish-e-hayat na aaegi ras kya

ab tark-e-dosti hi taqaza hai waqt ka
tera qayas gar hai yahi to qayas kya

mana ki tera milna hai mushkil bahut magar
har lamha TuT jae ab aisi bhi aas kya

ek umr ho gai hai yahi sochte hue
apni kitab-e-zist ka hai iqtibas kya

'nadir' kahin to sair ko bahar bhi jaiye
har-dam kisi ki yaad mein rahna udas kya