اردو हिंदी
Karta hun tere zulm se har bar al-ghiyas | Shaahi Shayari
karta hun tere zulm se har bar al-ghiyas

Ghazal

Karta hun tere zulm se har bar al-ghiyas

Sauda Mohammad Rafi

;

karta hun tere zulm se har bar al-ghiyas
yak bar tere dil mein nahin kar al-ghiyas

teri nigah ko dekh ke gardish mein aasman
karta phire hai shoabada dawwar al-ghiyas

maghrur husn ka hai tujhe ye kahan KHabar
yani ki kaun hai pas-e-diwar al-ghiyas

'sauda' main kahta hun ki ye parhez ishq se
ruswa hai kyun tu kucha o bazar al-ghiyas