karta hai wo jafa to kare main wafa karun
yun apni dosti ka fariza ada karun
us ka shiar wo hai ye mera shiar hai
us ki jafa ke nam main apni wafa karun
us ka kabhi jawab na aaya na aaega
ye jaante hue bhi use KHat likha karun
wade pe us ke aane ke ghar ko saja liya
ab us ke baad bhi na wo aae to kya karun
ek lamha meri samt ko wo multafit to ho
wo haal-e-dil sune to bayan muddaa karun
ki us ne har qadam pe jafaon ki intiha
main bhi na kyun wafaon ki phir intiha karun
jis ne meri hayat ko tarik kar diya
phir bhi main us ki rah mein raushan diya karun
wo hai jo mere qatl ka saman kiye hue
mera nahin shiar ki main bad-dua karun
ghaalib ki ye zamin hai 'shaeq' KHuda-gawah
kyun kar main is zamin ka rutba siwa karun
Ghazal
Karta hai wo jafa to kare main wafa karun
Riyazat Ali Shaiq