اردو हिंदी
Karta hai rahm kaun kisi be-gunah par | Shaahi Shayari
karta hai rahm kaun kisi be-gunah par

Ghazal

Karta hai rahm kaun kisi be-gunah par

Shuoor Balgirami

;

karta hai rahm kaun kisi be-gunah par
paDte hain taziyane yahan dad-KHwah par

shikwa hai bewafai-e-jaanan ka is qadar
hum mar chale hanuz na aae wo rah par

dil KHud hua asir zanaKHdan-e-yar mein
lati hai tishnagi hi pyase ko chah par

shabnam ko mahw karta hai jis tarah aaftab
ya-rab nigah-e-mehr ho mere gunah par

aashiq pe rahm kar shah-e-KHuban agar hai tu
wajib hai shafqat-e-ghoraba baadshah par

wo chehra-e-kitabi hai zulf-e-dota mein yun
mushaf ko jaise rakhte hain dast-e-gawah par