karta hai qatl-e-am wo aghyar ke liye
das bis roz marte hain do-chaar ke liye
dekha azab-e-ranj dil-e-zar ke liye
aashiq hue hain wo mere aazar ke liye
dil ishq tere nazr kiya jaan kyunki dun
rakkha hai us ko hasrat-e-didar ke liye
qatl us ne jurm-e-sabr-e-jafa par kiya mujhe
ye hi saza thi aise gunahgar ke liye
le tu hi bhej de koi paigham-e-talKH ab
ye tajwiz zahr hai tere bimar ke liye
aata nahin hai tu to nishani hi bhej de
taskin-e-iztirab-e-dil-e-zar ke liye
kya dil diya tha is liye main ne tumhein ki tum
ho jao yun udu mere aghyar ke liye
chalna to dekhna ki qayamat ne bhi qadam
tarz-e-KHiram o shoKHi-e-raftar ke liye
ji mein hai motiyon ki laDi us ko bhej dun
izhaar-e-haal-e-chashm-e-guhar-bar ke liye
deta hun apne lab ko bhi gul-barg se misal
bose jo KHwab mein tere ruKHsar ke liye
jina ummid-e-wasl pe hijran mein sahl tha
marta hun zindagani-e-dushwar ke liye
'momin' ko to na lae kahin dam mein wo but
DhunDe hai tar-e-subha ke zunnar ke liye
Ghazal
Karta hai qatl-e-am wo aghyar ke liye
Momin Khan Momin