karta hai koi aur bhi girya mere dil mein
rahta hai koi aur bhi mujh sa mere dil mein
wo mil gaya phir bhi ye lagatar udasi
shayad hai koi aur bhi dhaDka mere dil mein
ek ranj mein Duba hua be-nam musafir
aaya tha baDi dur se Thahra mere dil mein
jis sham ko bhule hue ek umr hui thi
chamka hai usi sham ka tara mere dil mein
ek huk si uThti hai sar-e-baam-e-tamanna
wo meri KHushi se kabhi rahta mere dil mein
aae hain yahan tak to chalo us se bhi mil len
ye dhyan bhi ek bar to aaya mere dil mein
jis aag ko kahte hain qayamat se nahin kam
bahta hai usi aag ka dariya mere dil mein
Ghazal
Karta hai koi aur bhi girya mere dil mein
Sabir Waseem