اردو हिंदी
Karo wo kaam jis se har kisi ko faeda pahunche | Shaahi Shayari
karo wo kaam jis se har kisi ko faeda pahunche

Ghazal

Karo wo kaam jis se har kisi ko faeda pahunche

Majeed Maiman

;

karo wo kaam jis se har kisi ko faeda pahunche
bano wo shama jis se tira-baKHti ko ziya pahunche

Thahar kar sans bhi hum ne na li jab gamzan the hum
jo ruk ruk kar chale rahon mein wo manzil ko kya pahunche

pila kuchh is tarah ki lauT kar jaana na ho mumkin
ki Thukra kar do-alam hum yahan tak saqiya pahunche

jo kahte the ki gar Dube bhi to ek sath Dubenge
wo hum ko chhoD kar manjdhaar mein sahil pe ja pahunche

hamare KHun se us shoKH ke rang-e-hina aae
payam-e-shauq le kar koi un tak dusra pahunche

mera KHat phaD kar tum ne kiya asbab-e-ruswai
ye TukDe uD ke bikhrenge jahan tak bhi hawa pahunche

na chheD ai mutrib-e-KHush-zauq naghma ishq-o-ulfat ka
ki jis se ek shikasta dil ke zaKHmon ko jila pahunche

hum aajiz aa gae ab naseh-o-mulla ki baaton se
jinhen hai KHabt jannat ka unhen to bas KHuda pahunche