karo saman jhule ka ki ab barsat aai hai
ghaTa umDi hai bijli ne chamak apni dikhai hai
agar jhule tu mere dil ke jhule mein to ai zalim
rag-e-jaan se tere jhule ko main rassi banai hai
yahan abr-e-siyah mein aaj tere surKH joDe ne
mujhe sham o shafaq dast-o-gareban kar dikhai hai
idhar hai kirmak-e-shab-tab udhar jugnu gale ka hai
ye aalam dekh kar ye baat mere ji mein aai hai
ba-qaul-e-hazrat-e-'hatim' 'nisar' us waqt yun kahiye
teri qudarat ke sadqe kya tamashe ki KHudai hai
Ghazal
Karo saman jhule ka ki ab barsat aai hai
Mohammad Amaan Nisar