اردو हिंदी
Karo hum ko na sharminda baDho aage kahin baba | Shaahi Shayari
karo hum ko na sharminda baDho aage kahin baba

Ghazal

Karo hum ko na sharminda baDho aage kahin baba

Kunwar Bechain

;

karo hum ko na sharminda baDho aage kahin baba
hamare pas aansu ke siwa kuchh bhi nahin baba

kaTora hi nahin hai hath mein bas farq itna hai
jahan baiThe hue ho tum khaDe hum bhi wahin baba

tumhaari hi tarah hum bhi rahe hain aaj tak pyase
na jaane dudh ki nadiyan kidhar ho kar bahin baba

safai thi sachchai thi pasine ki kamai thi
hamare pas aisi hi kai kamiyan rahin baba

hamari aabru ka hai sawal ab sab se mat kahna
wo baaten hum ne jo tum se abhi khul kar kahin baba