karni nahin hai duniya mein ek dushmani mujhe
kahte hain sare log kabhi aadmi mujhe
jati hai gar to jaen ye duniya ki daulaten
bas ram aai hai to faqat sadgi mujhe
nazren jhukae baiThe rahe wo bhi sharm se
raaton ko phir satati rahi an-kahi mujhe
sare charagh chhoD ke manzil pe baDh chala
rasta dikha rahi hai abhi tirgi mujhe
zinda bacha to maut ko jaana qarib se
kya kya hunar sikhae meri zindagi mujhe
marne chala to mai-kada raste mein mil gaya
marne se phir bachati rahi mai-kashi mujhe
ghairon ko chah kar ke bhi apna nahin kiya
apnon se hi mili thi ye beganagi mujhe

Ghazal
Karni nahin hai duniya mein ek dushmani mujhe
Sanjiv Arya