karne do agar qattal-e-jahan talwar ki baaten karte hain
arzan nahin hota un ka lahu jo pyar ki baaten karte hain
ye aish-o-tarab ke matwale be-kar ki baaten karte hain
pael ke ghamon ka ilm nahin jhankar ki baaten karte hain
na-haq hai hawas ke bandon ko nazzara-e-fitrat ka dawa
aankhon mein nahin hai binai didar ki baaten karte hain
gham mein bhi raha ehsas-e-tarab dekho to hamari nadani
virane mein sari umr kaTi gulzar ki baaten karte hain
be-naqd-e-amal jannat ki talab kya shai hain janab-e-waiz bhi
muTThi mein nahin hain dam-o-diram bazar ki baaten karte hain
kahte hain unhin ko dushman-e-dil hai nam usi ka naseh bhi
wo log jo rah kar sahil par manjdhaar ki baaten karte hain
pahunche hain jo apni manzil par un ko to nahin kuchh naz-e-safar
chalne ka jinhen maqdur nahin raftar ki baaten karte hain
ye ahl-e-qalam ye ahl-e-hunar dekho to 'shakil' in sab ke jigar
faqon se hain dil murjhae su-e-dar ki baaten karte hain
Ghazal
Karne do agar qattal-e-jahan talwar ki baaten karte hain
Shakeel Badayuni