karna paDa tha jis ke liye ye safar mujhe
wo mauj-e-shauq chhoD gai ret par mujhe
aadab-e-bazm ke siwa kuchh aur to na tha
mahfil mein us ne pan diye KHas kar mujhe
lauTa hun phir wo jism ki viraniyan liye
hasrat se dekhte hain ye diwar-o-dar mujhe
bazar ka to hosh hai lekin nahin ye yaad
kal raat kaun chhoD gaya mere ghar mujhe
aaankhon ka nur sine mein mahfuz kar liya
is shahr mein jo hona paDa be-basar mujhe
is ke siwa ye raaz bhala kaun jaanta
wo sab ko galiyon se nawaze magar mujhe
Ghazal
Karna paDa tha jis ke liye ye safar mujhe
Aleem Afsar