karna jo mohabbat ka iqrar samajh lena
ek bar nahin us ko sau bar samajh lena
hum hon ki adu us mein jo zulm ka shaki ho
karta hi nahin tum ko wo pyar samajh lena
mar jae magar jaana us ki na ayaadat ko
tum jis ko mohabbat ka bimar samajh lena
ban ban ke bigaDta hai wo kaam mohabbat mein
aasan nahin jis ko dushwar samajh lena
ghaflat-kada-e-hasti jab kahte hain aalam ko
sauda hai phir apne ko hushiyar samajh lena
mahfil mein raqibon ki jaana hai agar tum ko
surat se mujhe apni bezar samajh lena
dil par to lagate ho tum tir-e-nazar lekin
aahon ko hamari bhi talwar samajh lena
chheDa jo mere aage phir tazkira-e-dushman
rakkhi hui hai mujh se takrar samajh lena
poshida 'hafiz' is mein asrar-e-mohabbat hain
aasan nahin mere ashaar samajh lena
Ghazal
Karna jo mohabbat ka iqrar samajh lena
Hafeez Jaunpuri