اردو हिंदी
Karna hai kar-e-KHair to phir sar na dekhna | Shaahi Shayari
karna hai kar-e-KHair to phir sar na dekhna

Ghazal

Karna hai kar-e-KHair to phir sar na dekhna

Vishma Khan Vishma

;

karna hai kar-e-KHair to phir sar na dekhna
barsen jo teri zat pe patthar na dekhna

lagne lagenge dost bhi dushman sabhi tumhein
yani hai kis ke hath mein KHanjar na dekhna

rakhna haqiqaten bhi nigahon ke samne
din raat sirf KHwab ka manzar na dekhna

rah jae rang-o-bu se talluq tera agar
phulon ko apne hath se chhu kar na dekhna

jaana agar hai par to ho kar sawar tum
kashti ke sath sath samundar na dekhna

KHud karna zindagi se wafaon ka faisla
kya kah raha hai tum se muqaddar na dekhna

masruf apni jang mein rahna sada magar
nazren uTha ke tum kabhi upar na dekhna