اردو हिंदी
Karenge zulm duniya par ye but aur aasman kab tak | Shaahi Shayari
karenge zulm duniya par ye but aur aasman kab tak

Ghazal

Karenge zulm duniya par ye but aur aasman kab tak

Parveen Umm-e-Mushtaq

;

karenge zulm duniya par ye but aur aasman kab tak
rahega pir ye kab tak rahoge tum jawan kab tak

KHudawanda inhen kis din shuur aaega duniya ka
rahengi be-paDhi-likhi hamari laDkiyan kab tak

phirega aur kitne din KHayali par ghoDe par
uDega sher-goi mein na engine ka dhuan kab tak

inan-e-hukmarani dekhiye kis din KHuda lega
rahenge qismaton par hukmaran ye aasman kab tak

diye jaenge kab tak shaiKH-sahib kufr ke fatwe
rahengi un ke sanduqcha mein din ki kunjiyan kab tak

chali jaegi ek hi ruKH hawa taki zamane ki
na pura hoga tera daur ye ai aasman kab tak

tahammul KHatm hote hi baDi bad-namiyan hongi
tumhaare KHauf se 'parwin' na kholegi zaban kab tak