karenge shikwa-e-jaur-o-jafa dil khol kar apna
ki ye maidan-e-mahshar hai na ghar un ka na ghar apna
makan dekha kiye muD muD ke ta-hadd-e-nazar apna
jo bas chalta to le aate qafas mein ghar ka ghar apna
bahe jab aankh se aansu baDha soz-e-jigar apna
hamesha meinh baraste mein jala karta hai ghar apna
pasina ashk hasrat be-qarari aaKHiri hichki
ikaTTha kar raha hun aaj saman-e-safar apna
ye shab ka KHwab ya-rab fasl-e-gul mein sach na ho jae
qafas ke samne jalte hue dekha hai ghar apna
dam-e-aKHir ilaj-e-soz-e-gham kahne ki baaten hain
mera rasta na roken rasta len chaara-gar apna
nishanat-e-jabin josh-e-aqidat KHud bata denge
na puchho mujh se sajde ja ke dekho sang-e-dar apna
jawab-e-KHat ka un ke samne kab hosh rahta hai
batate hain pata mere bajae nama-bar apna
mujhe ai qabr duniya chain se rahne nahin deti
chala aaya hun itni baat par ghar chhoD kar apna
shikan-alud bistar har shikan par KHun ke dhabbe
ye haal-e-sham-e-gham likkha hai hum ne ta-sahar apna
yahi tir-e-nazar to hain mere dil mein hasinon ke
jo pahchano to lo pahchan lo tir-e-nazar apna
'qamar' un ko na aana tha na aae subh hone tak
shab-e-wada sajate hi rahe ghar raat bhar apna
zamin mujh se munawwar aasman raushan mere dam se
KHuda ke fazl se donon jagah qabza 'qamar' apna
Ghazal
Karenge shikwa-e-jaur-o-jafa dil khol kar apna
Qamar Jalalvi