اردو हिंदी
Karenge qasd hum jis dam tumhaare ghar mein aawenge | Shaahi Shayari
karenge qasd hum jis dam tumhaare ghar mein aawenge

Ghazal

Karenge qasd hum jis dam tumhaare ghar mein aawenge

Bahadur Shah Zafar

;

karenge qasd hum jis dam tumhaare ghar mein aawenge
jo hogi umr bhar ki rah to dam bhar mein aawenge

agar hathon se us shirin-ada ke zabh honge hum
to sharbat ke se ghunT aab-e-dam-e-KHanjar mein aawenge

yahi gar josh-e-girya hai to bah kar sath ashkon ke
hazaron para-e-dil mere chashm-e-tar mein aawenge

gar is qaid-e-bala se ab ki chhuTenge to phir hargiz
na hum dam-e-fareb-e-shoKH-e-ghaarat-gar mein aawenge

na jate garche mar jate jo hum malum kar jate
ki itna tang ja kar kucha-e-dilbar mein aawenge

gareban-chaak lakhon hath se us mehr-e-talat ke
ba-rang-e-subh-e-mahshar arsa-e-mahshar mein aawenge

jo sargardani apni tere diwane dikhaenge
to phir kya kya bagule dasht ke chakkar mein aawenge

'zafar' apna karishma gar dikhaya chashm-e-saqi ne
tamashe jam-e-jam ke sab nazar saghar mein aawenge