اردو हिंदी
Karen hijrat to KHak-e-shahr bhi juz-dan mein rakh len | Shaahi Shayari
karen hijrat to KHak-e-shahr bhi juz-dan mein rakh len

Ghazal

Karen hijrat to KHak-e-shahr bhi juz-dan mein rakh len

Iqbal Kausar

;

karen hijrat to KHak-e-shahr bhi juz-dan mein rakh len
chalen ghar se to ghar kya yaad bhi saman mein rakh len

hamara kya ki gul ko noch kar takrim bhi de den
sahife mein saja den ya kisi gul-dan mein rakh len

ziyan-e-dil hi is bazar mein sud-e-mohabbat hai
yahan hai faeda KHud ko agar nuqsan mein rakh len

bahut tarsi hai duniya tere hashr-e-ru-numai ko
bata ab ye talab hum aur kis imkan mein rakh len

hamara kufr ye hai harf aata ho jahan tujh par
hamin to hain jo teri aabru iman mein rakh len

aman ki ek hi surat hai ab is be-yaqini mein
parind-e-ghaar! hum bhi jaan teri jaan mein rakh len

Dhale jab tak na shab hum kaDh kar ek shama ki lau se
tulu-e-subh ka manzar na raushan-dan mein rakh len?