karen hum kis ki puja aur chaDhaen kis ko chandan hum
sanam hum dair hum but-KHana hum but hum barahman hum
dar-o-diwar hi nazron mein apni aaina-KHana
kya karti hain ghar baiThi hi apna aap darshan hum
mohabbat hai to apne se adawat hai to apne se
hain aap hi dost apne hum hain aap hi apne dushman hum
kab uThti hain uThae se kisi shaiKH-o-barahman ke
dar-e-dil-par hi apne mar kar baiThe hain aasan hum
jise ghaib aap samjhe hain shahadat jis ko jaane hain
bina rakhi hain apni dil lagi ki ye ghar-angan hum
hidayat hum se hi paida zalalat hum pe hi shaida
kabhi hain rahnuma apne kabhi hain apne rahzan hum
na qil-o-qal se matlab na shaghl-ashghaal se matlab
muraqib apne rahte hain ka kar apni gardan hum
raha karti hain pahron mahw-e-nazzara mein hum apne
sarapa ho rahe hain ab to apne aap darpan hum
hua ai 'faiz' malum ek muddat mein hamein thi wo
japa karte the jis ke nam ki din-raat simran hum

Ghazal
Karen hum kis ki puja aur chaDhaen kis ko chandan hum
Faiz Dakani