karega kya koi mere gale-saDe aansu
to kyun na sukh hi jaen paDe paDe aansu
jo yaad aaen to dil gham se phaTne lagta hai
kisi aziz ki palkon mein wo jaDe aansu
hua main apni tahi-damani se sharminda
kisi ki aankhon mein the ye baDe baDe aansu
KHizan mein patte bhi aise kahan jhaDe honge
hamari aankhon se jun hijr mein jhaDe aansu
main is KHayal se jate hue use na mila
ki rok len na kahin samne khaDe aansu
kisi ne ek taraf mar ke bhi gila na kiya
kisi ne dekhte hi dekhte ghaDe aansu
mahaarat aisi ki bas dekhte hi rah jao
nikalta hai koi yun khaDe khaDe aansu
tumhein kaha na ki bas ho gae juda hum log
ukhaDte ho miyan kis liye gaDe aansu
magar jo zabt ne tufan khaDe kiye ab ke!!
tamam umr bahaya kiye baDe aansu
ajab gudaz tabiat hai aap ki 'jawwad'
zara si baat hui aur chhalak paDe aansu
Ghazal
Karega kya koi mere gale-saDe aansu
Jawad Sheikh