اردو हिंदी
Kare hai baada tere lab se kasb-e-rang-e-farogh | Shaahi Shayari
kare hai baada tere lab se kasb-e-rang-e-farogh

Ghazal

Kare hai baada tere lab se kasb-e-rang-e-farogh

Mirza Ghalib

;

kare hai baada tere lab se kasb-e-rang-e-farogh
KHat-e-piyala sarasar nigah-e-gul-chin hai

kabhi to is dil-e-shorida ki bhi dad mile
ki ek umr se hasrat-parast-e-baalin hai

baja hai gar na sune nala-ha-e-bulbul-e-zar
ki gosh-e-gul nam-e-shabnam se pamba-agin hai

'asad' hai naza mein chal bewafa bara-e-KHuda
maqam-e-tark-e-hijab o wida-e-tamkin hai