karbala ka rasta raushan hua
phir lahu ka marka raushan hua
kaun tha aaKHir wo jis ki zat se
zindagi ka zawiya raushan hua
jazba-e-isar-o-qurbani ke nam
KHak-o-KHun ka silsila raushan hua
bare tujh pe ai furaat-e-be-karan
tishnagi ka martaba raushan hua
munhadim hone lagi diwar-e-jaan
jism ka zulmat-kada raushan hua
qadghanen jitni lagain waqt ne
dil-zadon ka hausla raushan hua
'naz' ka aahang-e-taza dekhna
fikr-o-fan ka daera raushan hua
Ghazal
Karbala ka rasta raushan hua
Naz Quadri