اردو हिंदी
Karb wahshat uljhanen aur itni tanhai ki bas | Shaahi Shayari
karb wahshat uljhanen aur itni tanhai ki bas

Ghazal

Karb wahshat uljhanen aur itni tanhai ki bas

Hamdoon Usmani

;

karb wahshat uljhanen aur itni tanhai ki bas
jaane kyun taqdir ne li aisi angDai ki bas

jab kabhi bhule se bhi aaina dekha tere baad
apni hi surat mein wo surat nazar aai ki bas

toDne jab bhi chala zindan-e-ab-o-gil ko main
jaani-pahchani hui aawaz ek aai ki bas

chilchilati dhup gham ki hadson ke saeban
soch ka tapta ye sahra aur ye purwai ki bas

kash na-bina hi rahta is muqar-KHana mein
tohfatan duniya ne di hai aisi binai ki bas

nochti kab tak rahengi yun barahna KHwahishen
ta-ba-kai hoti rahegi aisi ruswai ki bas

main hun ai 'hamdun' ek zinda giraftar-e-lahad
apni hi taqdir se Thokar wo hai khai ki bas