اردو हिंदी
Karb hai karb ki aawaz barabar hai yahi | Shaahi Shayari
karb hai karb ki aawaz barabar hai yahi

Ghazal

Karb hai karb ki aawaz barabar hai yahi

Karrar noori

;

karb hai karb ki aawaz barabar hai yahi
teri qimat hai yahi tera muqaddar hai yahi

ji mein hai ab kisi darwaze pe dastak de dun
aur phir puchhun ki ai shaKHs mera ghar hai yahi

kaun samjhega agar main ne kahi bhi rudad
chup hi ho jaun mere waste behtar hai yahi

ab to jo zarra bhi daman se lipaT jata hai
main samajhta hun mera mehr-e-munawwar hai yahi

chandni-raat mein KHud apne hi sae se milun
mera munis hai yahi ab mera rahbar hai yahi

ab to har lahza har ek moD pe hota hai guman
jis ke bare mein suna hum ne wo mahshar hai yahi

sher kahne ko to hum ne bhi kahe hain 'nuri'
ye jo KHamosh sa baiTha hai suKHnawar hai yahi