karb chehre se mah-o-sal ka dhoya jae
aaj fursat se kahin baiTh ke roya jae
phir kisi nazm ki tamhid uThai jae
phir kisi jism ko lafzon mein samoya jae
kuchh to ho raat ki sarhad mein utarne ki saza
garm suraj ko samundar mein Duboya jae
baj gae raat ke do ab to wo aane se rahe
aaj apna hi badan oDh ke soya jae
narm dhage ko masalta hai koi chuTki mein
saKHt ho jae to moti mein piroya jae
itni jaldi to badalte nahin honge chehre
gard-alud hai aaine ko dhoya jae
maut se KHauf-zada jine se be-zar hain log
is alamiye pe hansa jae ki roya jae
Ghazal
Karb chehre se mah-o-sal ka dhoya jae
Shahid Kabir