اردو हिंदी
Karam un ka KHud hai baDh kar meri hadd-e-iltija se | Shaahi Shayari
karam un ka KHud hai baDh kar meri hadd-e-iltija se

Ghazal

Karam un ka KHud hai baDh kar meri hadd-e-iltija se

Arzoo Lakhnavi

;

karam un ka KHud hai baDh kar meri hadd-e-iltija se
mujhe su-e-zan nahin hai ki dua karun KHuda se

dil-e-mutmain ki wusat koi kam hai ma-siwa se
mujhe kahe ki kami hai jo talab karun KHuda se

hui KHatm gham ki aandhi wahi dil ki lau hai ab bhi
yahi shoala tha wo shoala ki laDa kiya hawa se

kahe kaun use patinga jo hai shoale par dhuan sa
tujhe le uDe hain kitna tere par zara zara se

jo hai sab ka dene wala main usi ko chahta hun
meri bhik wo nahin hai ki mile kisi gada se

ye hai qasr-e-zindagani ki habab-e-bahr-e-fani
abhi ban gaya hawa se abhi miT gaya hawa se

ye KHayal KHud hai aisa jo KHushi bana de gham ko
ki hai ibtida KHushi ki mere gham ki intiha se

mera dil raza pe raazi karam us ka josh par hai
jo ab aa gai zaban tak to asar gaya dua se

meri lakh minnaton par teri ek haya hai bhaari
koi parda hai wo parda ki hile-Dule hawa se

tere pak-baz-e-ulfat nahin haarne ke himmat
jo marenge Dub kar bhi to marenge rah ke pyase

kisi dil ki aas yun bhi kabhi 'arzu' na TuTe
ye kahe bani hai dam par wo kahe meri bala se