اردو हिंदी
Karam ke nam pe un ka itab chahte hain | Shaahi Shayari
karam ke nam pe un ka itab chahte hain

Ghazal

Karam ke nam pe un ka itab chahte hain

Fitrat Ansari

;

karam ke nam pe un ka itab chahte hain
nigah-e-shauq ko hum kaamyab chahte hain

sukun-e-dil mein gham-o-iztirab chahte hain
hum aise log bhi kya inqalab chahte hain

chaman mein ahd-e-bahaaran ki aarzu kar ke
qafas-nasib qafas par azab chahte hain

ye aazmaish-e-qalb-o-nazar maaz-allah
tumhaare jalwe ko hum be-naqab chahte hain

mujhe raqib samajh kar jo mere mohsin hain
meri nazar ka hasin intiKHab chahte hain

jahan KHulus-e-tijarat ke fan mein Dhal jae
hum aisi duniya se ab ijtinab chahte hain

ye ahl-e-husn ki fitrat ajib fitrat hai
sawal karne se pahle jawab chahte hain