اردو हिंदी
Karam ka aur hai imkan khule to baat chale | Shaahi Shayari
karam ka aur hai imkan khule to baat chale

Ghazal

Karam ka aur hai imkan khule to baat chale

Aziz Hamid Madni

;

karam ka aur hai imkan khule to baat chale
is iltifat ka unwan khule to baat chale

kis intizar mein thi ruh-e-KHud-numai-e-gul
baras ke abr-e-bahaaran khule to baat chale

kuchh ab ke hum bhi kahen us ki dastan-e-visal
magar wo zulf-e-pareshan khule to baat chale

jafa ye silsila-e-sad-hazar-unwan hai
qamis-e-yusuf-e-kanan khule to baat chale

safar hai aur sitaron ka ek bayaban hai
musafiri ka bhi imkan khule to baat chale

tilism-e-shewa-e-yaran khula to kuchh na hua
kabhi ye habs-e-dil-o-jaan khule to baat chale

sulag raha hai ufuq bujh rahi hai aatish-e-mahr
rumuz-e-rabt-e-gurezan khule to baat chale