اردو हिंदी
Karam ho ya sitam sar apna KHam yun bhi hai aur yun bhi | Shaahi Shayari
karam ho ya sitam sar apna KHam yun bhi hai aur yun bhi

Ghazal

Karam ho ya sitam sar apna KHam yun bhi hai aur yun bhi

Khizr Barni

;

karam ho ya sitam sar apna KHam yun bhi hai aur yun bhi
tera diwana to sabit-qadam yun bhi hai aur yun bhi

jafa ho ya wafa us ka karam yun bhi aur yun bhi
nawazish roz-o-shab aur dam-ba-dam yun bhi hai aur yun bhi

bhula den ya karen hum yaad-e-gham yun bhi hai aur yun bhi
kisi ke hijr mein KHud chashm-e-nam yun bhi hai aur yun bhi

hayat-o-maut ka maqsad samajh mein aa nahin sakta
wagarna aadmi majbur-e-gham yun bhi hai aur yun bhi

mili rone se jab fursat to aansu pi liye hum ne
mohabbat ke liye goya bharam yun bhi hai aur yun bhi

baghawat koi karta hai raza par hai koi qail
wo hai mabud us ka to karam yun bhi hai aur yun bhi

nigah-e-naz se wo dekh kar nazren churaata hai
hamara dil 'KHizar' mashq-e-sitam yun bhi hai aur yun bhi