karahte hue insan ki sada hum hain
main sochta hun meri jaan aur kya hum hain
jo aaj tak nahin pahunchi KHuda ke kanon tak
sar-e-dayar-e-sitam aah-e-na-rasa hum hain
tabahiyon ko muqaddar samajh ke hain KHamosh
hamara gham na karo dard-e-la-dawa hum hain
kahan nigah se guzarte hain dukh bhare dihat
hasin shahron ke hi gham mein mubtala hum hain

Ghazal
Karahte hue insan ki sada hum hain
Habib Jalib