kar liya mahfuz KHud ko raegan hote hue
main ne jab dekha kisi ko bad-guman hote hue
maslahat-koshi meri fitrat mein shamil hi na thi
dhup mein jhulsa kiya main saeban hote hue
rafta rafta raunaq-e-bazar baDhti hi gai
waqt ke chehre pe zaKHmon ke nishan hote hue
gar yunhi jari raha us ke sitam ka silsila
TuT jaunga main ek din saKHt-jaan hote hue
KHushk honTon ke sahaare mujh ko pahchana gaya
bazm-e-saqi mein hujum-e-tishnagan hote hue
us ke ji mein jo bhi aaya wo mujhe kahta raha
aur main KHamosh tha munh mein zaban hote hue
dekh kar KHud apni surat saKHt hairani hui
jab main guzra aainon ke darmiyan hote hue
mahw-e-hairat ho ke 'nazir' dekhta hi rah gaya
lamha lamha apni sanson ka ziyan hote hue
Ghazal
Kar liya mahfuz KHud ko raegan hote hue
Nazir Siddiqi